Saturday, 26 January 2013

Seema par napak paak ne jo harkat dikhlaayi hai...!! Dikha diya us desh me basate insaan nhi kasaai hain...!!! Maanavataa ye dekh tukchha kritya khud par hi sharmaai hai..!!! Par un besharmo khudgarjo ko fir bhi laaz naa aayi hai...!!! Shanti-aman, bhai-chare ka prastaav unhe na bhaya hai...!!! Yuddha viram ka ullanghan kar mrityu dev ko bulaya hai..!!! HEMRAJ ka sheesh kata dhad pal pal ye hi pukar raha..!! Uth dhaao ram raheem ke sevak dushman seema se lalkaar raha..!!! .................... KauShaL


No comments:

Post a Comment