Saturday, 26 January 2013
Seema par napak paak ne jo harkat dikhlaayi hai...!! Dikha diya us desh me basate insaan nhi kasaai hain...!!! Maanavataa ye dekh tukchha kritya khud par hi sharmaai hai..!!! Par un besharmo khudgarjo ko fir bhi laaz naa aayi hai...!!! Shanti-aman, bhai-chare ka prastaav unhe na bhaya hai...!!! Yuddha viram ka ullanghan kar mrityu dev ko bulaya hai..!!! HEMRAJ ka sheesh kata dhad pal pal ye hi pukar raha..!! Uth dhaao ram raheem ke sevak dushman seema se lalkaar raha..!!! .................... KauShaL
Thursday, 24 January 2013
Hua chunaav ka jab ailaan.. Aaya neta ka farmaan..!!! Suno sabhi mere saagirdo.. Is janta me laalach bhar do..!!! Jaant paant ki khicho Khaai.. pal pal jisase hoye ladai..!!! Baat satya ki kabhi naa karna.. Janta me bas laalach bharna..!!! Jitne gunde karen ladai... Sabko samajhna apna bhai..!!! Sun neta ji ke armaan... saagirdo me aayi jaan...!!! Fir neta ji mantri ban gaye aur kya hua... Raja, kalmaadi jaise netaa desh chalate hain... Man Mohan ji maun hi rahkar sab kuch karte jaate hain...!!!!! Gareebi ki jagah ab is desh me gareeb mitaaye jaate hain... Aur neta ji ke ghar chhappan bhog sajaye jate hain.....!!!!! Isliye aap logo se apeal hai ki... Desh ke dushman desh me hain.. Hum jaiso ke bhesh me hain....!!! Har yuvak se meri ek guhaar... Kabhi na maano khud se haar..!!! Sankalp liye bas badhte jao... Har mushkil se ladte jao...!!! Apni swtantrata ko ab jaano.. Har mat ki keemat pahchaano..!!! Nischay kar matdaan karo ab... Bhrastaachaar samaapt karo ab..!!! .............................::: KauShaL
Tuesday, 22 January 2013
Saral swabhav, ati shant ho aap... Guru mere aadarsh ho aap.... Sheetalata chandan si hai,,,, vichar apke ati priya hain.... Sankalpit ho, ati niyamit ho.... Guru ki chhavi me aap nihit ho... Jeevan ka aadhar ho aap.... Guru mere aadarsh ho aap.... .............aadarniy Dr. sudhakar sharma sir ko samarpit.... ......................... KauShaL
Saturday, 19 January 2013
Aditya ujaagar ho chuka... Ab andhakaar mit jayega... Nisha, nishachar mit jayenge.. Jab vo prakash bikhrayegaa... Tere in kavitaon ne mere dil ko stabdh kiya... Isilye aaj maine in shabdo ko krambaddh kiya....... Jo lekh naya ho, soch nayi ho... Bas itna tu batlana... Mere is kavi sankalp ko.. Tujhe kaha talak hai le jana.... :......................................KauShaL
Subscribe to:
Comments (Atom)